Maqtal Me Tha Jo Laasha-E Asghar Tamaam Raat
Jangal Me Dhoondti Rahi Maadar Tamaam Raat
Uriyaa'n Thi Laash-E Shamma-E Shabistaan-E Mustafa
Parwaana Waar Phirti Thi qwaahar Tamaam Raat
Baba Ko Yaad Karke Sakina Na Sothi Thi
Usko Na Chain Aata Tha Dum Bhar Tamaam Raat
Ro Ro Ke Haaye Aapne Chacha Ko Pukaar Kar
Baali Sakina Maanga Ki Gauhar Tamaam Raat
Ek Be Watan Ke Qatl Ki Tayyariyaa'n Jo The
Barpaa Tha Fouj-E Shaam Me Mehshar Tamaam Raat
Qabze Ko Choomte Rahe Talwaar Toul Kar
Shouq-E Jihaad Me Rahe Akbar Tamaam Raat