Kanz e Aza

mujrayi paida hua tha sam hasan

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

mujrayi paida hua tha sam hasan ke waaste

aur bana qanjar shahe tashna dahan ke waaste


ae falak zainab ko toone kyu'n phiraaya dar badar

maateme shabbir kya kam tha behen ke waaste


jis ghadi bandhne laga kangna to haatif ne kaha

daste kubra me jagah rakhna rasan ke waaste


ae falak insaaf se tajweez teri door hai

gardane sajjad ho touqo rasan ke waaste


hoke zaqmi jab gira ghode se ibne booturab

qaak marha ho gayi zaqmi badan ke waaste


be kafan tha laashae noushaah ran me ae falak

muh chupaane ko na chaadar thi dulhan ke waaste


shimr se kehti thi zainab le na tu chaadar meri

ye rida rehne de bhai ke kafan ke waaste