Mujrayi sheh ne kaha bhool na jaana zainab
Fateha bhai ka pani pe dilaana zainab
rehem khaakar koi be rehem agar paani de
Pehle tum meri sakina ko pilaanz zainab
Qaid me chup ke chali jaaiyo sar ko nyodaaye
Apni aawaaz na ghairo ko sunaana zainab
Ran ko mai jaake na maidaan se phir aaunga
qaid tum hoke meri lash pe aana zainab
mere lashe ko kafan gar na mayassar hoe
apni chaadar ka kafan humko banaana zainab
gar sakina ka labe neher guzar ho jaaye
laash abbase dilaawar ki chupaana zainab
haath se zaalimo ke koi kapda bach jaaye
nanhi si laash par asghar ke udhaana zainab