Kanz e Aza

Mujhey Matloob Hoga Jaam Laina Jab Bhi Kausar ka

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Mujhey matloob hoga jaam laina jab bhi Kausar ka

Salaam aisa padhoonga dil bhar aayegaa payambar ka


Zameen-e-Karbala ka poochnaa teray muqaddar ka

Hai tujh mein aaj takh mehfooz sarmaaya payambar ka


Kamar qam kyon na ho dil gham se tootey kyon na Sarwar ka

Alambardaar aakhir bhaayi tha baazoo baraabar ka


Labay darya alambardaar bhi kaam aagaya aakhir

Basab Allah haafez hazrat-e-Zainab ki chaadar ka


Teri ghairath ko aakhir kya huva kuch tu nay soncha bhi

Bhari mehfil mai kaisa tazkera Zainab ki chaadar ka


Ghadi bhar bhi rabab aaraam sey sonay nahin paathee

Woh jab karwat badalthi hai khayaal aata hai Asghar ka


Sayeed zaar par jab bhi koyi uftaab padthi hai

Bas ek aadath si hai woh naam letha hai Hyder ka