Kanz e Aza

Hai ahle haram me shore buka sheh laate hai lasha

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Hai ahle haram me shore buka sheh laate hai lasha asghar ka

kehti hai ye ro ro kar fizza sheh laate hai lasha asghar ka


jab teere sitam gardan pe laga wo phool sa bacha nehr hua

baacchoo'n me hai saara khoon jama sheh laate hai lasha asghar ka


nazdeek koi juz yaas nahi humdard koi bhi paas nahi

hai qaak basar maqtak ki fiza sheh laate hai lasha asghar ka


lashe pe nazar farmaate hai chalte hai kabhi ruk jaate hai

aata hai tasawwur banu ka sheh laate hai lasha asghar ka


jo wazn me tha asghar se siwa, wo teer jo tha asghar se bada

Us teer se hai hulqoom chida sheh laate hai lasha asghar ka


nanha sa hai kurta qoon me tar aur sookhi zaba'n hai hoto'n par

gardan hai chidi manka hai dhala sheh laate hai lasha asghar ka


pehle hi musibat ki thi ghadi aur us pe qayamat ye guzri

khat aaya hai 'razvi' soughra ka sheh laate hai lasha asghar ka