Kanz e Aza

Juz panjetan kisi se tawalla na chahiye

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Juz panjetan kisi se tawalla na chahiye

ghair az khuda kisi na bharosa na chahiye


ek dar pe baith gar hai tawakkul kareem par

Allah ke faqeer ko phera na chahiye


soughra ne shaahedee'n ko likha khat to bhejiye

gar chaahte nahi hume acha na chahiye


do betiya'n to paas ho ek jaa'n balab bayeed

mai sach kahu ye aap ko baba na chahiye


kehti thi fizza shaam me baazaario hato

Aale rasool par sitam aisa na chahiye


ye koun bibiya'n hai tumhe kuch qabar nahi

zahra ki betio ka tamasha na chahiye


kehta tha shimr chaadare bewo'n ki cheenlo

aise gunaah gaaro ko parda na chahiye


marqad chiraaghe daagh se roushan rahe 'anees'

Shab ko akele ghar me andhera na chahiye