Kanz e Aza

Karbala Sey Jo Kabhi Ho Kay Hawaa Aati Hai

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Karbala sey jo kabhi ho kay hawaa aati hai

Kisi maasoom ki hichkee ki sadaa aati hai


Haan dhadakta na ho marqad mein kahin qalb-e-rabab

Ali Asghar, Ali Asghar ki sadaa aati hai


Maa samajtee hai dulhan laaoongi aaya hai shabaab

Sheh samajtey hain kay Akbar ki qazaa aati hai


Koyi beemaar na paddtaa ho tahajjud ki namaaz

Raat mein beydiyon ki kyun yeh sadaa aati hai


Qaid khaaney mein qayamat sey siwaa aathaa hai din

Raat kya aati hai ek aur balaa aati hai


Munh phira leytay hain Abbas tapak padtey hain ashk

Nehr ki simth sey thandee jo hawaa aati hai


Kaun sothaa hai kanaarey teray aye nehr-e-furaat

Teri mitthi sey abhi boo-eywafaa aati hai


Jab ziyaada kabhi beemaar main hotha hoon shaheed

Khud ba khud meray liye khaak-e-shifaa aati hai