Kanz e Aza

Hussain ban ke zamane pe chaa gayi Zainab

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Hussain ban ke zamane pe chaa gayi’n Zainab.

Zubaan-e-tegh se kufa hila gayi’n Zainab.


Kadam kadam pe jalaaye Hussainiat ke chiraagh.

Diye yazeed ke saare bujha gayi’n Zainab.


Ali ki yaad ko zinda kiya zamane me.

Jagah jagah pe jo khutbe suna gayi’n Zainab.


Kasam Khuda ki ye ehsaan-e-Bint-e-Zehra hai.

Hame Hussain ka maatam sikha gayi’n Zainab.


Aseer ho gayi dar dar phiri zamane me.

Hussainiat ko magar jagmaga gayi’n Zainab.