khoke bhai ko aayi hai zainab
zulm kya kya uthaai hai zainab
sar pe chaadar nahi thi baalo se
apna chehra chupaai hai zainab
saath kunbe ko leke karbal se
dar badar phir ke aayi hai zainab
thi jo bhai ki laadli duqtar
qabr uski banaai hai zainab
sar khule shaam aur koofa me
kya aziyat uthaai hai zainab
leke 'saahil' nishaan rassi ke
maa ki turbat pe aayi hai zainab