Kanz e Aza

Maa Kehti Thi Uth Jaag

A salaam for Shehzadi Sakina (s.a), written by Akhtar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

maa kehti thi uth jaag meri jaan sakina

uth ghar ko chale khul gaya zindan sakina


bunde jo tere shimr ne cheene wo diladun

ek nanhi si chadar mai tere sar pe udhadun

ghar jaane ka ab hogaya saaman sakina

maa kehti thi uth jaag...


masoom se gaalon pe tamache bhi hai khaaye

ro ro ke kaha karti thi baba nahi aaye

rota hai tere haal pe zindan sakina

maa kehti thi uth jaag...


uth'ti hi nahi laakh uthaya hai kayi baar

lo mar hi gayi aaj wo baba ki azadaar

lab khol zara maa hai pareshan sakina

maa kehti thi uth jaag...


armaan bahot tumko tha ghar jaane ka beti

hum choot gaye qaid se uth ghar chale beti

poora na hua ye tera armaan sakina

maa kehti thi uth jaag...


ek baar mere seene se lag ja zara uth kar

kehti thi ye maa qabre sakina se lipat kar

kuch dayr ke hai hum tere mehman sakina

maa kehti thi uth jaag...


waaris na raha mera raha na mera asghar

jaati hoo sakina tumhe zindan may kho kar

ujda hai mera kaisa gulistan sakina

maa kehti thi uth jaag...


mayyat pe sakina ki haram nauha kuna thay

chehre pe sakina ke tamachon ke nishan thay

lo mar hi gayi shaam ki mehman sakina

maa kehti thi uth jaag...


rone ki sada aati hai zindan se aksar

mar ke bhi rehaai na mili hai jise akhtar

sunsaan sa hai aaj kyun zindan sakina

maa kehti thi uth jaag...