Sar pa ab Shaahe Khurasaan ka saya na raha
Ham gharibo'n ke liye koi sahara na raha
Khaak par lot'te hain aalame tanhaai me
Aisi ghurbat hai koi poochhne wala na raha
Ranj Moula ko ghareebul watani ka hai bahot
Ajnabi chehre hain sab koi sanaasha na raha
Zehr ka aisa asar hai ke tadapte hain Imam
Is musibat ko koi dekhne wala na raha
Haay Masooma-e Qum roke yahi kehti hain
Kyun Mujhe mout na aayi Mera Bhayya na raha
Kamsini me hai Taqi par ye musibat aayi
Sar pa afsos keab Baap ka Saya na raha
Aaj Maatam hai Ghareebul Ghuraba ka Akhtar
Gham se dil phat'ta hai ab zapt ka yara na raha