Sar peet ke chillayi ye masooma e muztar, maajaye baradar
Pardes me kis simt tumhe dhoonde ye qwahar, maajaye baradar
1. Mai shouq e ziyarat me watan chod ke aayi, par milne na paayi
Kya daagh dikhaaye ho mujhe haye baradar, maajaye baradar
2. Mai reh gayi hayhaat teri yaad me rote, muh ashkou se dhote
Tum ne naa uthaya mera taboot baradar, maajaye baradar
3. Jis waqt tere tan pa ayaa'n sam ka asar tha, kya haal tha bhaiyya
Batlaao sarhaane tha koi yawar o naser, maajaye baradar
4. Tha koun qaree'n aapke aye sayyad e qushqoo, ya thaamne baazu
Betaab huwe honge jo thaame dil e muztar, maajaye baradar
5. Bhaiyya kaho jab aaqri hichki tumhe aayi, aye haq ke fidaai
Tha kounse hamdard ke zaano pa tera sar, maajaye baradar