YA RAZA YA RAZA
SULTAAN RAZA SULTAAN RAZA
Ay gareebul guraba , Ay moinozoefa
Haye ay Moosi Raza , Sultaan Raza , sultaan Raza
1) Zehre daga jo aapko Mamoon ne diya , Ek hashr sa hua , ek hashr sa hua , Qabre Rasool se yahi aane lagi sada
Sultaan Raza , sultaan Raza
2) Masmoom ka janaza utha jaraha hai ab , Mehwe buka hai sab , mehwe buka hai sab , Roker Taqi yeh kehte hai haye haye yeh kya hua
Sultaan Raza , sultaan Raza
3) Bejurm kisne aapko zehre dagha diya , Bhayya hue juda , bhayya hue juda , Masooma sar ko peet ke karne lagi buka
Sultaan Raza , sultaan Raza
4) Mehshar bapa hai toos me sheh ka bapa hai gham , chasme aza hai nam , chasme aza hai nam , Aati hai har gareeb ke dil se yahi sada
Sultaan Raza , sultaan Raza
5) Is gham me hai Hazeen bohat roohe Fatima , Mehzu hai Murtuza , Mehzu hai Murtuza , Hai saare Ahlebait me ab matame Raza
Sultaan Raza , sultaan Raza
6) Girya karo gareeb pe matam bapa karo , Sunlo ay momino , Sunlo ay momino , Har maatami ke dil se yeh aati hai ab sada
Sultaan Raza , sultaan Raza
7) Moula hume bhi apni ziarat karo Naseeb , Hyder bhi hai ghareeb , Hyder bhi hai ghareeb , Matam karenge aake waha Nasere Aza