sultan e zaman aagaye wa hasrat o darda
maidane bala mein
zainab ne suna maadar e dilgeer ka nauha
jangal ki hawa mein
samaan utarne laga manzil hui aakhir
aa pahunche musafir
aate hi ghira ahmad e mukhtar ka kunba
andoh o bala mein
sultan e zaman aagaye...
khulne lage hathyar shuja'ane arab ke
pa bande adab ke
abbase alamdar lagane lage qaima
darya ki fiza mein
sultan e zaman aagaye...
har ek namazi ka hai khaaliq ki taraf dil
ta'at pe hai maayil
masroof hai paighambar e aalam ka nawasa
ummat ki dua mein
sultan e zaman aagaye...
jangal ki hawaon se maras mein hai tarakhi
aankhein nahi khulti
pukarta hai jigar zehr ka hai zaaekha sa
aabid ko dawa mein
sultan e zaman aagaye...
shabbir ke chehre pa bahaali ke hai aasaar
has dete hai har baar
farmate hai ab kaahe ko hone laga arsa
waade ki wafa mein
sultan e zaman aagaye...
jhonke jo kabhi garm hawaon ke hai chalte
bache hai dehelte
saidaniyo ka waqt har ek dam hai guzarta
faryad o buka mein
sultan e zaman aagaye...
garmi se dil e asghar e nadaan hai dhadakta
taalu hai lapakta
ek hasrat o andoh ka andaaz hai paida
ghungro ki sada mein
sultan e zaman aagaye...
kuch soch ke karti hai fughan zainab e nachaar
kehti hai ye har baar
ye kya hua hum bekason ka khafela utra
kis dashte bala mein
sultan e zaman aagaye...
mohsin ke jigar bandon se sab phir gaye kuffaar
ho laanate ghaffar
baqi nahi masroor asar khalq o wafa ka
dunya ki hawa mein
sultan e zaman aagaye...