Kanz e Aza

Baba Mere Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Masroor. Lyrics in Roman Urdu.

karti thi buka shaam ke zindan mein sakina

baba mere baba baba mere baba


aa jaaiye aa jaaiye ab jald khudara

baba mere baba baba mere baba


mai dar pe khadi takti thi jab aap ka rasta

ek loot machi aag lagi zulm ye toota

hum par thi qayamat ki ghadi haste thay aada

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


jab khaynch rahe thay mere durr kaano se ashraar

aur zad pe tamachon ke thay baba mere ruqsaar

ammu ko kabhi tum ko bulaati thi mai dukhiya

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


phir baand ke rassi mein hamay haye khule sar

bazaron mein darbaron mein laaye ye sitamgar

khaati thi tamache mai tumhe jab bhi pukara

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


jab tak na sula lete thay seene pe mujhe aap

karte na thay apne se juda haye mujhe aap

kya mujhse khata hogayi kyun aap ne choda

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


mai khaak basar nauha kuna shaam o sahar hoon

ab taalib e deedar e shahe jinn o bashar hoon

khud aap hi aaye na qaza ne mujhe poocha

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


zinda na rahungi mai agar aap na aaye

mar jaungi zinda hi mai ek roz mein haye

ab mujhko judaai nahi ek pal bhi gawara

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...


phat'ta tha jigar maa ka phupi jaan balab thi

sajjad tadapte thay ghadi gham ki ajab thi

masroor wo jab kehti thi laut aaiye baba

baba mere baba baba mere baba

karti thi buka...