Kanz e Aza

Baba Tera Ek Shab

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

beti se kaha sheh ne meri jaan sakina

baba tera ek shab ka hai mehman sakina


ashoor ki ghurbat mein aseeri ke safar mein

be-rehm zamane mein rahe baad padar ke

har gaam khuda tera nigehban sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


pathar bhi tamacha kabhi durra bhi lagela

badlega kayi rang tera phool sa chehra

haan daure yateemi nahi aasan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


mai aap ki aagosh mein chup jaungi baba

aur akbar o abbas ko bulwaungi baba

tanha to na hogi sar e maidan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


maqtal mein na kooza liye khaali chali aana

abbas ko ro ro ke na darya se bulaana

hojayenge sharminda chacha jaan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


baba tera qatil kya musalman nahi hai

kya yaad nabi ka usay farmaan nahi hai

shabbir ki baaton pe hai hairaan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


jal jayega ghar baar to ghabraogi bibi

kal shab kahin baba ko na tum paogi bibi

na rehm karenge ye musalman sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


jin bacchon ke jal jaate hai ghar sote hai kaise

mar jaaye jo gar baap to phir rote hai kaise

batlao na baba ke hai nadaan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


kaano ke tere zakhm tujhe sone na denge

zaalim mere laashe pe tujhe rone na denge

tarsegi tu rone ko meri jaan sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...


sone ki tere seene pe zid chod ke baba

so jayegi zindan ki zameen od ke baba

ho jayegi islam pe qurban sakina

baba tera ek shab...

beti se kaha sheh ne...