Kanz e Aza

Roti Hai Ab Bhi

A noha written by Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

roti hai ab bhi fatema zahra yahin kahin

teeron pe tha hussain ka laasha yahin kahin


haan ye wohi jagah hai yehi wo zameen hai

tha khafela hussain ka utra yahin kahin

roti hai ab bhi...


aaya sumon talay hua sadqa shikasta tan

qalbe hassan zameen pe bikhra yahin kahin

roti hai ab bhi...


bughze ali ki aag ke sholon mein ghir gaya

jalta raha sagheer ka jhoola yahin kahin

roti hai ab bhi...


chehra chupaye khaak pe baba ki laash par

bacchi giri thi khaake tamacha yahin kahin

roti hai ab bhi...


dhundla gayi nazar lagi thokar hussain ko

akbar gira tha thaame kaleja yahin kahin

roti hai ab bhi...


sehra ki tez dhoop mein seh roz bekafan

tapta raha hussain ka laasha yahin kahin

roti hai ab bhi...


hal min ki hum ko deke sada aakhri hussain

laakhon mein lad raha tha akela yahin kahin

roti hai ab bhi...


awaaz na hasi ki yahan par buland ho

roti hai ab bhi fatema zahra yahin kahin

roti hai ab bhi...


karbobala ke dasht mein aasaniyan na dhoond

bistar bana le khaak ko soja yahin kahin

roti hai ab bhi...


raahe safar mein ishq ke mil jayenge zaroor

zawwaron ke hujoom mein maula yahin kahin

roti hai ab bhi...