baba tere baghair bhala kaise jiyungi
tanha rahungi qaid may zindan may marungi
roti hui behna ko chacha chod na jaana
ye aakhri rishta bhi kahin tod na jaana
pani ke liye aap se ab mai na kahungi
baba tere baghair...
baba ko dekti thi to aate thay nazar teer
ek pal may sakina se juda hogaye shabbir
seene se laga lo mujhe ab kis se kahungi
baba tere baghair...
guzregi kis tarha se meri shaam e ghariban
asghar ko sada dungi mai laashon ke darmiyan
haathon may hoga magar mai na piyungi
baba tere baghair...
mai aal e mohamed ka hoo anmol nagina
rakha hai aap hi ne mera naam sakina
ab qaidi sagheeron ki mai salaar banungi
baba tere baghair...
tasveer payambar ki dikha kyun nahi dete
baba mujhe asghar se mila kyun nahi dete
ye sadma judaai ka bhala kaise sahungi
baba tere baghair...
baba ka rasta rok ke raahon may khadi hai
masoom sakina pe qayamat ki ghadi hai
ro ro ke ye kehti hai ke jaane nahi dungi
baba tere baghair...
hai bheed qayamat ki patharon ki hai barsaat
mai haath uthaun to mitt jaye kayenaat
ye bad'dua jahan ke liye mai na karungi
baba tere baghair...
qaime bhi jala daale jala daale hai quran
phir bhi ye apne aap ko kehte hai musalman
hai baat bade dukh ki ye nana se kahungi
baba tere baghair...