Kanz e Aza

Bahot Gham Milay

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hameed Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

bahot gham milay baba jaan


zindan mein baba ka sar jo mila

bali sakina ne nauha kiya

pardes mein hogayi be-amaan

bahot gham milay baba jaan


kya kya na dhaaye sitam ashkiyan ne

khaati rahi bibiyan taaziyane

thi ek rasan aur baara galay

mai khad mein choti sab thay bade

ghuton pe meelon chali bibiyan

bahot gham milay...


shaam e ghariban ka ghamnaak manzar

qaime hamare thay sholon ki zad par

bistar jala bhai sajjad ka

gehwara e bezaban bhi jala

manzar tha wo al hafeez o amaan

bahot gham milay...


jab ban mein aayi gyara moharram

baba tha mujh par aseeri ka aalam

phir mere dil par sitam ye hua

naize pe sar aap ka aa gaya

aankhon se khoone jigar tha rawan

bahot gham milay...


mujhko tamache sitamgar ne maare

sajjad khaata raha taaziyane

tishna labi aur safar ki thakan

karte bhi kya dono bhai behan

dete rahe sabr ka imtehan

bahot gham milay...


phir kaan zakhmi kurta jala tha

chaale zuban par sookha gala tha

soti to sone na dete zara

royi to rone pe pehra laga

mujh par hui hai badi sakhtiyan

bahot gham milay...


tha ye taqaza unki wafa ka

gham mujhse poocho mere chacha ka

dekhe jo phupiyon ke sar berida

naize se ammu ka sar gir gaya

hai yaad wo shor e aah o fughan

bahot gham milay...


haa mere baba hai yaad ab bhi

jab pushte naaqa se mai gir gayi thi

tumse bichad kar mai soti na thi

aaghosh e zehra mein neend aagayi

baad uske phir neend aayi kahan

bahot gham milay...


balon pe mere jo hai safedi

gham ki fazayein dekhi hai aisi

nauhon ka kamsin saheefa hoo mai

ek chaar saala zaeefa hoo mai

kham hai kamar meri misle kamaan

bahot gham milay...


nauha jo likha hameed abidi ne

likhwaya shabbir ki laadli ne

nauhon se safdar ki pehchaan hai

bali sakina ka ehsaan hai

jo aaj nauha hai wirde zaban

bahot gham milay...