Bain karti thi yeh rokar madar haye Sughra
Ae meri mehlaqa meri dilbar haye Sughra
Kya dagha degi mujhko pyari maa ye wari, Chal basi kookh meri jala kar haye Sughra.
Das baras ki kamayi meri aah lut gayi aah, Phir gaya mujhse mera muqaddar haye Sughra.
Sabr kyukar karegi yeh madar bolo beta, Dil ko kyukar manaungi mai phir haye Sughra.
Meri nashaad meri pyari meri nadaa'n, Meri ghumqaro nachar duqtar haye Sughra.