bain karti hai ye umme farwa
mere qasim ko dulha banao
aakhri hai ye armaan mera
mere qasim ko dulha banao
mere bache ko mehendi lagao
is ke maathe pe sehra sajao
shab dhali jaa rahi hai khudara
mere qasim ko...
maut ka rang chaaya fiza may
is se pehle ke dasht e bala may
ho namudaar khooni savera
mere qasim ko...
kaash waaris mera saath hota
yun na karti mai faryaad dukhiya
mujhpe hai ye bada sakht lamha
mere qasim ko...
laal ka apne sadqa utaaro
apni jaan apne bache pe waaro
muntazir kab se hai meri kubra
mere qasim ko...
waqt dasht e bala may wo aaya
maa ki mamta ka utha janaza
phir bhi dukhiya ke lab per tha nauha
mere qasim ko...
chand surat ko lakhte jigar ko
yaad kar kar ke apne pisar ko
qaid may bhi ye kehti thi dukhiya
mere qasim ko...
haye wo ghamzada umme farwa
umr bhar hi rahi mehwe girya
aaj bhi hai suhail us ka naala
mere qasim ko...