Kanz e Aza

Beta Muaaf Karna

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

beta muaf karna mujhe dayr ho gayi


noore nazar hassan ke mere paara e jigar

beta muaf karna mujhe dayr ho gayi


phaile huwe zameen pe hai tukde kahan kahan

seene pe tere ghodon ki taapon ke hai nishan

bhagdar machi to ghode idhar se huwe udhar

beta muaf karna...


tum saamne ho aur tumhari talaash hai

kaise uthaun tumko mai tukdon mein laash hai

jaise hua tha tukde mere bhai ka jigar

beta muaf karna...


gehna gaya hai khaak pe farwa ka maahtab

gulshan mein hai batool ke bikhra hua gulaab

bhai ki yaad aati hai hoo dekhta jigar

beta muaf karna...


maine bahot sulaaya hai aaghosh mein tujhe

laashe ko leke jaaunga ghathri mein baandh ke

maa mar na jaaye laash ke tukdon ko dekh kar

beta muaf karna...


kehti hai ye uroose ajal tum ko kya hua

sar par hai tere zakhmon ka sehra saja hua

kuchla hua badan hai jabeen hai lahoo mein tar

beta muaf karna...


girte huwe kisi ne pukara jo door se

pahuncha hoo har maqam pe raftaar e noor se

ye gham ki inteha thi ke aata na tha nazar

beta muaf karna...


haalat tumhari dekh ke seena hua hai shaq

ta hashr hoga ab dil e shabbir ko khalaq

afsos ye rahega na pahuncha mai waqt par

beta muaf karna...