BIKHRA HAI RUN MEIN LASHA NOUSHAHE KARBALA
Shah laash par jo pohonche manzar ajeeb dekha
Shabbar ka laal Qasim tha khoon mein nahaya
Kehte the Shah-e-Deen ye phir se sada do beta
Aansoo baha rahe the sar ko jhukaye Moula
Maadar ke khwaab toote dulhan ki maang ujdi Phir is tarah ki koi dekhi gayi na shaadi
The teen din ke bhooke pyaase sabhi baraati
Dhaare hai khoon ki ya dulha ke rukh ka sehra
Karbobala mein bigdi Kubra bani ki qismat
Kuch der ki dulhan par aayi hai kya musibat
Shaadi ke ghar mein matam Allah re Qayamat
Aankho mein bewagi ka manzar liye hai Kubra
Maadar ki thi wasiyat zinda na run se aana
Beta chacha se pehle tum jaan apni dena
Qasim ne is ada se wada wafa kiya tha
Sarwar aba mein apni laye uthake laasha
Tukde aba mein apni Shabbir laarahe hain
Ruk rukke har khadam par aansoo baha rahehain
Ek din mein kitne sadme Sarwar utha rahe hain
Kubra bani ka gham se dil baitha ja raha tha
Shadi ka ghar elahi matam sara hai kaise
Palkon pa apni lekar ashke aza ke tohfe Kyun ye Sohail sab hain pehne siyah kapde
Roro ke derahe hain sab Fatima ko pursa