Kanz e Aza

binte sheh kehti thi haaye qasim bane

A noha for Qasim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

binte sheh kehti thi haaye qasim bane

bewa mai hogayi haaye qasim bane

mera raaj gaya sar ka taaj gaya

aaj mai lut gayi- haaye qasim bane


thi dulhan raat ko ab hu bewa suno

kya bane par bani- haaye qasim bane

maang me meri tha shab ko sandal laga

ab hai mitti bhari- haaye qasim bane


tum jo ghar se gaye qoo'n me laal hue

kaisi mehndi lagi- haaye qasim bane

hai ye kaisa ghazab bewa kehte hai sab kyu na mai mar gayi- haaye qasim bane

shab me dulha bane, sub'ha jangal base


kaisi shaadi rachi- haaye qasim bane

choodio me jo thi reesmaa'n se bandhi

wo kalaai meri- haaye qasim bane