maula aa rahe hai
hamare ghar may maula aa rahe hai
azakhane sajaye jaa rahe hai
hamare ghar may maula aa rahe hai
kisi ki bhook ka sadqa to dekho
mere bacche tabarruk khaa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
abhi maana alam abbas ka tha
abhi mannat badhane aa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
kahin bachon ko maa rakhti hai girwi
kahin saqqe banaye jaa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
ye jhoola ye alam taboot dekho
ziyarat ko malayek aa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
bade choton ko mimbar par bitha kar
hai kya karbobala samjha rahe hai
azakhane sajaye jaa...
agarche kat chuke baazu hai lekin
alam abbas ke lehra rahe hai
azakhane sajaye jaa...
azaa ka farsh ghar may bich chuka hai
imam e asr ghar may aa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
na phat jaaye kahin maa ka kaleja
sina seene pe akbar khaa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
ye dekha maadar e qasim ne maula
utha kar ek gathri laa rahe hai
azakhane sajaye jaa...
qamar dekho bicha kar chandni ko
zameen pa aasman ko laa rahe hai
azakhane sajaye jaa...