Kanz e Aza

Hayraan Hay Chand Muharram ka

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza. Lyrics in Roman Urdu.

Hayraan Hay Chand Muharram Ka Shabeer Say Kyoun Sharmata Hai


Zahra Kay Chand Ko Dekhta Hai Phir Baadal Main Chup Jata Hai


Ghar Zahra Ka Lutnay Ki Khabar

Karbal May Tunay Sunai Hay

Haye Dekh Kay Tujh Ko Muharram May

Ab Tak Bhi Rooti Khudai Hay

Teri Chandani May Bhi Andhera Hai (x2)

Jo Akhon May Chaa Jaata Hay


Beemar Hay Din Bhar Rooti Hay

Na Wada Akbar Poora Kia

Is Chand Ko Dekh Kay Sughra Nay

Phir Chand Ko Dekhna Chor Diya

Har Saal Muharram Aata Hay (x2)

Sughara Ko Bohot Tarpata Hay


Is Chaand Nay Shaam-e-Ghareeban Main

Jaltay Howa Khaimon Ko Dekha

Mumtaz Hay Shabbar Roya Tha

Zahra Ka Ureyan Sir Dekha

Is Wastay Raat Nikalta Hai (x2)

Din Bhar Kay Liye Chup Jaata Hay