ye keh rahe hai mustufa
ye keh rahe hai murtuza
ye keh rahe hai mujtaba
ye keh rahi hai fatema
ye keh raha hai khud khuda
hussain ki madad karo
jo nasir e hussain thay
wo khaak o khoon mein ad chuke
zameen pe qasim e hazeen
tukdiyon mein bat chuke
jo baazu e hussain tha
usi ke haath kat chuke
hai ghazi ab bhi keh raha
hussain ki madad karo...
sina jigar mein ghus chuki
pisar bhi kya dikhayi de
hai boodha baap sochta
sada koi sunayi de
nazar ka noor chin chuka
kya usay dikhayi de
wo ghutniyo hai chal pada
hussain ki madad karo...
har ek taraf wo zalzala
meinan e shark o gharb tha
hussain ki sada suni ajeeb
us mein karb tha
ruka na asghare hazeen
yehi to waqt e harb tha
ye kehke jhoole se gira
hussain ki madad karo...
nahi hai sher e bawafa
akela reh gaya hussain
na akbar e hazeen raha
akela reh gaya hussain
sagheer bhi chala gaya
akela reh gaya hussain
behen ne karb se kaha
hussain ki madad karo...
tadap raha hai khaak o khoon mein
fatema ke dil ka chain
zameen se arsh tak baland
zainab e hazeen ke bain
har ek ki laash legaye
pada hai laasha e hussain
layeen hai har kuchal raha
hussain ki madad karo...
ye keh rahi hai fatema
ho khatm din malaal ke
tum ashk jo bahaoge
rakhungi mai sambhal ke
ye ashk leke jaaungi
bharenge zakhm laal ke
azaa ka farsh hai bicha
hussain ki madad karo...
urooj e ghairat e nabi
kisa ka noor e lazawaal
na shaam ko bhula saka
usay hai aaj bhi malaal
hussain ki hai aarzoo
rakhe hijaab ka khayal
saron pe tum rakho rida
hussain ki madad karo...
jo apna gham chupa raha hai
aaj ka hussain hai
jo ashk e dil baha raha hai
aaj ka hussain hai
madad ko jo bula raha
hai aaj ka husain hai
suno imam ki sada
hussain ki madad karo...
imam e asr ki nazar mein
kya amal ka hai maqam
qamar azaa ke saath hum ne
kya kiye hai jin ke kaam
guroh kitne ban gaye
magar akela hai imam
ye aaj ki hai karbala
hussain ki madad karo...