Kanz e Aza

Hussain ka Gham

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

labbaik ya hussain


hussain ka gham manane waalon

hussain tum ko bula rahe hai


suno suno ay zamane waalon

hussain tum ko bula rahe hai


yehi to hai intezar e mehdi

sada e halmin ka hai ye matlab

wafa e abbas mein bano tum

mahafizaan e mazaar e zainab

wafa ka parcham uthane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


azeem hurr tha ke jisne aakhir

hussain par jaan apni di hai

kabhi ye socha hai zaakiron ne

kabhi ye awaaz bhi suni hai

ke zikr hurr ka sunane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


jo khyber e waqt mein ladoge

to karbala se na hogi doori

jahan bhi mazloom pis rahe hai

wahan pe imdaad hai zaroori

ali ke naare lagaane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


yehi to maqsood e karbala hai

ke imtehan e wafa yehi hai

hai mil chuke tum ko sab wasayil

magar iraade mein kuch kami hai

ziyaraton pe na jaane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


jo ibne zehra pe jaan denge

unhi ke honge bade muqaddar

zohair qain aayenge yaqeenan

kaha hai zauja ne aage bad kar

chalo chalo ay zamane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


jo al ajal ki sada lagaye

wo apna kirdaar bhi dikhaye

imam e mehdi ke hai jo nasir

habeeb ibn e mazahir aaye

ke dosti ko nibhane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


yehi to paigham e karbala hai

hai nusraton ka sawaal laazim

ke nasiron ke liye raha hai

hamesha rizq e halaal laazim

halaal rozi kamane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


namaz ko chod dene waalon

imam ka saamna karoge

amal ke baare mein kya kahoge

hussain ko kya jawab doge

ghina ki mehfil sajane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


ghira hua hai jo lashkaron mein

imam e dauran bula raha hai

suna hai jab se ye isteghasa

sagheer jhoole se gir gaya hai

ke teer par muskurane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...


ma'ashre mein madad karo tum

yateem mazloom mar raha hai

qamar baseerat ki aankh kholo

yahin kahin par hi karbala hai

juloos o majlis mein jaane waalon

hussain tum ko bula rahe hai

hussain ka gham...