Kanz e Aza

Hussain ka Matam

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Ya Hussain Ya Hussain Ba Khuda Hai Tujse Wada,

Na Rukega Ye Silsila.

Waba Se Kese Rukega -Hussain Ka Matam

Her Ek Haal Me Hoga-Hussain Ka Matam

Hame To Hath Milane Se Sab Ne Rok Liya

Magar Ye Hath Karega-Hussain Ka Matam

Bicha Ke Farshe Aza Fatema S.A. Ko Razi Karo

He Ek Farz Hamara-Hussain Ka Matam

Gum E Hussain Me Rona Hamari Kismat He

Muqaddaro Ka Sahara Hussain Ka Matam

Suna Jo Mene Alam Se To Aa Rahi Thi Sada

Abhi To Or Badhega -Hussain Ka Matam

Labbaik Labbaik Labbaik Ya Hussain

Labbaik Labbaik Labbaik Ya Hussain

Hussain Aap Ke Dar Pe Bulaiye Humko

Karunga Dekh Ke Roza Hussain Ka Matam

Gum E Hussain Me Rone Ko Jo Kahe Bidaat

Tamacha Unko Lagega -Hussain Ka Matam

Kisi Bhi Hal Me Hoga Ye Ruk Nahi Sakta

Dua E Fatema Zehra S.A.-Hussain Ka Matam

Hussain Sunte Hi Bacche Ne Nanhe Hatho Se

He Maa Ki God Se Sikha -Hussain Ka Matam

Milenge Qabr Me Hyder To Us Khuda Ki Kasam

Me Sath Unke Karunga -Hussain Ka Matam

Pule Sirat Pe Misl E Asa E Musa Ke

Hamare Sath Chalega -Hussain Ka Matam

Padhengey Hazrat E Mehdi Atfs Toh Baad Majlis Ke

Karengey Hazrat E Isa Hussain Ka Matam

Hussain Naam E Mubarak Hamari Saan'sey Hai

Humey Hai Jaan Se Pyara Hussain Ka Matam

Raza Ne Keh Ke Ye Akbar Kalam Ko Rok Liya

Bayan Mujse Na Hoga Hussain Ka Matam