BAQAAYE DEE KI ZAROORAT HUSSAIN KE AANSOO
HAI FATIMAH KI AMANAT HUSSAIN KE AANSOO
Kafan se Fatima Zehra ne haath pehlaaye .. x 2
Rawaa hue jo bahasrat.. x 2 Hussain keaansoo
Sawaalnama e Sughra tamaam hote hi .. x 2
Chale jawab ki soorat .. x 2 Hussain keaansoo
Supurde khaakkiya ja Chuka hai Asghar Kya .. x 2
Bhigoo rahe hai Jo turbat .. x 2 Hussain keaansoo
Hisaare zabt me the waqte ruqsati warna.. x 2
Uthaate shore qiyamat.. x 2 Hussain keaansoo
Rula rula ke kiya aqatl shaam walao ne .. x 2
Hai is ki zinda alamat .. x 2 Hussain keaansoo
Jari ke hathao ka mimbar sajega hashr me jab.. x 2
Karenge uspe qitaabat .. x 2 Hussain keaansoo
Lahoo Ali ka hai inme hai sheer Zehra ka
Haqeeqatao ki haqeeqat .. x 2 Hussain keaansoo
Imam e Asr (a.s) ki aankhao se behte hai Sheh par .. x 2
Liye Hussain ki ghurbat .. x 2 Hussain keaansoo