hussain ki dukh bhari kahani
tamaam dunya suna karegi
jo ro padega usay jahan mein
ali ki beti dua karegi
hussain ki laashe be-kafan se
ye keh ke zainab juda hui hai
jo tere maqtal mein bach gaya hai
wo kaam meri rida karegi
hussain ki dukh bhari...
hussain baqir se keh rahe thay
meri sakina ko saath rakhna
safar ke har mod par ye bachi
tumhe dilaase diya karegi
hussain ki dukh bhari...
ajeeb maa hai ke cheh mahine
ka laal qurban kar rahi hai
kabhi jo asghar ki yaad aayi
rubab zindan mein kya karegi
hussain ki dukh bhari...
hussain waada hai ye behan ka
rehaai zindan se payegi jab
behan tumhari yazeed ke ghar
tumhari majlis bapa karegi
hussain ki dukh bhari...