hussan ibne hassan ka lasha , ajeeb soorat se jaake laaye
banaake bheja tha yaa'n se dulha , waha'n se lasha utha ke laaye
bani ko mayyat ke pas laakar, bithaaya ghoongat zara hataakar
badha diya jo suhaag ka tha, safaid joda pinhaake laaye
lagi thi maa jo idhar bahu me uthi khushi se is aarzu me
phiraake barat laate hai sab, ise bhi shaayad phiraake laaye
magar kahu laash laaye kyu kar, utha tane paash paash kyu kar
bohot thi daamaad se mohabbat, abaa me apni uthaake laaye
litaake masnad pe lash qooni , lipat ke rone lage shahedee'n
hazaar riqqat se baahar akbar, pidar ko samjha buja ke laaye
magar muqaddar ne wo dikhaaya , ke dekhte hi jise ghash aaya
pisar ki mayyat ke peeche peeche . use bhi kuch log uthaake laaye