jab qaid se aseer reha hogaye tamam
qabre sakina par gaye rote huwe imam
matam kuna saath mein ahle haram tamam
aahista aa rahi thi rabab e khadista kaam
choti si qabr saamne nazron ke phir gayi
ek aah sard khaynch ke marqad pa gir gayi
zindan se rehaai sadaat ko mili hai
bali sakina tanha zindan mein reh gayi hai
bano ke bain sun kar har bibi ro rahi hai
bali sakina tanha zindan mein reh gayi hai
kehti thi shamiyon se bano ghareeb ro ke
is ka khayal rakhna naazon ki ye pali hai
har shab diye jalana marqad pe teeragi hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
baba chacha ko tarsi aah o buka ko tarsi
zindan mein ye yateema taaza hawa ko tarsi
baba ko rote rote bas thak ke so gayi hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
kehti thi roz ro kar ab to phupi chalo ghar
zindan mein mar na jaye shabbir ki ye dukhtar
ye yaad kar ke zainab sar apna peet'ti hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
kamsin ho bekhata ho aur qaid e jafa ho
daaghe yateemi logon jaise koi saza ho
bano ke dil se poocho kaisi ye bekasi hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
faryad par thay pehre zakhme jigar thay gehre
ta marg mit na paye taqdeer ke andhere
kis jurm ki saza hai bachi ko jo mili hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
is qaid se nikalo aaghosh mein chupalo
kehti thi zaalimo se baba mujhe bachalo
ye bain karte karte khamosh ho gayi hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
ab ghar chalenge bhai payenge kab rehaai
abid se poochti thi sadmon ki wo satayi
wo mar chuki hai lekin faryad goonjti hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...
safdar ki chasme nam bhi rote hai ahle gham bhi
mazhar bhi likh ke roya khirtaas aur qalam bhi
kya gham ka marsiya tareekh ro padi hai
bali sakina tanha...
zindan se rehaai...