Aao mere Agosh mein aa jao sakina
Bano ne sada de ke na tadpao sakina
Arma Tha Watan Jane Ka Utho Meri Beti
Iss Tarha Koi Qakh Par Sota Nahi Bibi
Ab Gham-Zada Maa Ke Gale Lag-jao Sakina
Sujhe Huwe Ruksar Hai Gardan Bhi Hai Zaqmi
Bhe-Ta Hai Musalsal Tere Kanou Se Laho Bhi
Sabr Aaye Mujhe Kaise Ye Batlao Sakina
Jo Sogaye Maqtal Me Wo Ab Ayenge Kaise
Hum Tere Chacha Ko Yaha Bulwayenge Kaise
Kyon Ruth Gayi Hum Se Ye Batlaou Sakina
Waqhef Ho Mai Mudad Se Tujhe Neend Na Aaye Phir Bhi Koi Iss Tarha Tho Sota Nahi Bibi
Jana Hai Watan Neend Se Uth Jao Sakina
Raaz Aagaya Kaise Tumhe Zinda Ka Andhera
Mai Kya Karo Kis Se Kahu Dam Ghut-Ta Hai Mera
Iss Tarha Mujhe Aur Na Tadpao Sakina
Kis Tarha Juda Hoga Badan Se Tere Kurta
Souncha Bhi Na Tha Tera Kafan Ab Yahi Hoga
Baba Se Shi-kayat Na Karo Jao Sakina
Bano Yehi Kahti Thi Rasheed Ashk Bahakar
Kaise Jiungi Beti Ko Turbat Me Sulakar
Marjayegi Maa Sene Se Lagaou Sakina