Jungal Ki Faza Me Ek Maa Ki Sada Hai
Be-Parda Zainab Hai
Ashoor Ko Ghar Sarwar Ka Luta Jo Sham-e-Gariban Zulm Hua
Aur Chini Gayi Jab Sarse Rida Karti Thi Fugan Zehra
Ye Aale Mohammed Hai Logo Lillaha Zara Kuch Rahem Karo Na
Chino Saro Se Inki Rida Karti Thi Fugan Zehra
Jab Qafila Shay Ka Qaid Hua Har Aan Tadapti Thi Zehra
Jisko Ye Qalaq Har Gham Raha Karti Thi Fugan Zehra
Qasim Bhi Nahin Akbar Bhi Nahi Abbas Nahi Asghar Bhi Nahi
Chadar Ka Muhafiz Ab Na Raha Karti Thi Fugan Zehra
Abid Ke Gale Me Touq-e-Giran Wo Ahle Haram Ki Aaho Fugan
Wo Raha Me Sar Zainab Ka Khula Karti Thi Fugan Zehra
Yon Aale Nabi Par Jor-O-Jafa Karte The Sitamgar Hadse Siwa
Thi Unko Nahi Kuch Sharm-o-Haya Karti Thi Fugan Zehra
Shaida-e-Ali Asghar Hai Hum Pouchenge Sabhi Karte Matam
Mehshar Me Yahi Padte Nouha Karti Thi Fugan Zehra
Darbar Me Jap Pouncha Kunba Us Dam Tha Sohail Ek Hashr Bapa
Haathoun Pa Rasan Na Sar Pa Rida Karti Thi Fugan Zehra