berida kyu nazar aati zainab aaj abbas jo hote
mu na baalo se chupaati zainab aaj abbas jo hote
dulhane auno mohammed ki le aati ghar me
byaah akbar ka rachaati zainab aaj abbas jo hote
shaahzaadi ki tarah apne watan me rehti
qaid hokar nahi jaati zainab aaj abbas jo hote
roz shabbir ki masnad ko sajaati ghar me
farshe matam na bichaati zainab aaj abbas jo hote
sar khule isko to sooraj ne bhi dekha na yazeed
kab tere saamne aati zainab aaj abbas jo hote
qaab kya kya nahi dekhe the sakina ke liye
uski turbat na banati zainab aaj abbas jo hote
ya ali aaiye ab khud hi bachaane ke lie
taaziyaane to na khaati zainab aaj abbas jo hote