bhai na bhatije na pisar laayi hoo amma
bas ghar ke ujadne ki khabar laayi hoo amma
bemaar ko jalte huwe qaimon se bacha kar
laa to nahi sakti thi magar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...
barchi ne jo maidan may akbar ko diya tha
seene may wohi zakhme jigar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...
ab shaam ke zindan may soti hai sakina
mai uski nishani ye gohar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...
ye dekhiye shaano pa mere neel rasan ke
durron ke nishan darde kamar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...
ye kehke rakha qabr pe shabbir ka kurta
mai sirf ye saughate safar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...
ghash aagaya zainab ko ye kehte huwe fakhri
balwe may jo uryan tha wo sar laayi hoo amma
bhai na bhatije na...