Kanz e Aza

Binte Fatima kargayi qaza

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Daad aye khuda zulm hai naya Binte Fatima kargayi qaza, Haye belcha pusht par laga Binte Fatima kargayi qaza...

Darbadar phiri berida huwi dasht me gayi uff kabhi na ki, Ashaqe Hussain bacchon par fida Binte Fatima kargayi qaza...

Jiske sar se aah nikli thi rida nikla tha na aah mehre bawafa, Sehke ranjo ghum be-ridayi ka Binte Fatima kargayi qaza...

Kya qasoor tha us ghareeb ka Zainabe hazee'n ki thi kya qata, Aah aye falak khake belcha Binte Fatima kargayi qaza...

Karbala ki aaj hilti hai zamee'n rote hai Nabi aur Ali hazee'n, Aake shaam me ashaqe Khuda Binte Fatima kargayi qaza...

Jiski laash aaj bekafan rahi qwahar uski aah aaj margayi, Faqre Asiya Binte Lafata Binte Fatima kargayi qaza.....