BHAYE TERA CHEHLUM KARNE DUKHYA ZAINAB AAYE HAI
SATH MEIN APNE SHANON PAR DAGHE RASAN KE LAYE HAI
Qaid huwe dar dar bhi phire, darbaar mein zalim ke bhi gaye
Ummat ne nana ki hum par, kaise qayamat dhaye hai
Sar se mere chadar bhi chini, durre bhi lagaye zalim ne
Koi na tha jo ye keh deta, Sarwar ki maajaye hai
Karbo bala se sham talak, har gaam pe thi wo joor-o-jafa
Kaise kahun aye bhaye Zainab, kya kya zulm uthaye hai
Lab pe tumhare aye bhayya, jis waqt rakhi zulm ne chadi
Dekh ke us manzar ko Sakina, der talak tharrayi hai
Balwe mein be maqna-o-chadar, sar ko jhukaye mai thi khadi
Yaad mujhe Abbas-e-jari ki, har lamha tardpaye hai