Kanz e Aza

Bhaiya Zainab aayi hai

A noha for Arbayeen. Lyrics in Roman Urdu.

Bhaiya Zainab aayi hai

shaam se chut ke aayi hai

chehlum karne aayi hai

1) ghazi uth kar dekh tou lo, behna ki tum halat ko, dagh rasan k layi hai


2) kunchao baazar gayi, mai to zaleelo qaar gayi

Qismat me ruswayi hai


3) kaise kahu bimar ka haal, shaam me tha jo isteqbal

Sadme dil pa uthaayi hai


4) Thi jo sakina khasta jigar, shaam ke zinda'n me khoo kar

bhayya behan ye aayi hai


5) maa ki lahed par jaungi, nile rasan dikhlaaungi

kya kya ranj uthayi hai


6) jaber ne roro ke kaha, aaye lahad par jab moula, ghamgee'n saari khudai hai


7) ghum me karo mil kar matam, Naaserane Aza paiham, Jab ye noha sunayi hai


8) aye hyder ba aaho buka, tu ne likha jo ye nouha

girya saari khudayi hai