Kanz e Aza

BHARE GHAR KA ARBAEE'N

A noha for Arbayeen, written by Haidar Husain Khan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Baithi huwi hain khaak pa saidaanian tamam

Ranjo alam ka hai har ek simt ishdihaam

Har lamha yaad aati hai aashoor ki wo shaam

Hota hai aaj Sibte Payambar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


Pamaal ran me hogaya Shabbar ka nounehaal

Kubra ki aarzuein huwi rann me paaemaal

Farwa ke dil ka chain tha Terah baras ka Laal

Hai Karbala me Dilbar e Shabbar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


Dekhi gayi na Saaniye Zehra ki bekasi

Aaya khayaal Aun o Muhammad ka jis ghadi

Zainab ghareeb kehti thi har lamha bas yehi

Khwahar karegi apne Baradar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


AbbaseNaamdaar ke shaane qalam huwe

Pyaasi Sakina reh gayi paani na la sake

Tooti kamar Hussain ki Abbas chal base

Darya pa hai wafa ke Payambar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


Atthara saal waale ki Maadar hai sogwaar

Roti hai yaad karke wo Akbar ko baar baar

Kulsoom begarar hai Zainab jigar figar

Hai aaj Ham Shabihe Payambar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


Asghar ko rann me laaye jo Sultan e Karbala

Teer e sitam se chhid gaya besheer ka gala

Bachche ko ek boondh bhi paani na mil saka

Hai tashna lab Rabab ke Dilbar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n


Shabbir hain Hamari rag e jaan se qareeb

Haidar Dua ye karta hai aye Sarwar e Ghareeb

MakhsoosiArbaeen ki ham sab ko ho naseeb

Mil kar waha'n karenge Bahattar ka Arbaee'n


Karna hai Fatima ke bhare ghar ka Arbaee'n