chalo rone walaon chalo pursa daaron
hussain ya hussain ya hussain
sarwar ke soghwaron chalo karbala chale
pyason ke soghwaron chalo karbala chale
maqtal mein jis jagah pe kata baazu e jari
roye jahan pe teer se ek mashk thi chidi
hone ko ashkbaar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
dekhe jahan ghareeb ka kunba hua tabaah
goonji thi jis jagah pe kisi tashnalab ki aah
rone ko beshumaar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
asghar ke waaste koi jhoola bhi le chalo
haathon se apne see ke shaluka bhi le chalo
ghamkhwar sheerkhwar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
be-dast ba-wafa ki ghareebi pe royenge
chaukhat haram ki ashkon se ro ro ke dhoyenge
royenge jaan zaar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
maqtal saja hua hai shahadat ke waaste
jazba bara e nusrat e sarwar liye huwe
matloob e kaarzaar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
jaye wahan jahan pe chida halq e bezuban
roya tha jis jagah pe lahoo aa ke aasman
asghar ke soghwaron chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...
daayim muaaf shaah karenge hai ye yaqeen
ek ek se keh rahe hai yehi nasir e hazeen
mehboob e kirdigaar chalo karbala chale
sarwar ke soghwaron...