Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Karbobala me Gharko luta kar Apne Watam me Aayi hai Zainab
Zulm kiya wo ahle jafa ne Zainab ka Gham Zainab jaane
Soojhe huwe hain abtak Shaane daagh ye kaise Paayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Gham ki kise rudaad sunaaye zakhm jigar ke kaise dikhaaye'n
Daaghe rasan kis kisse chhipaaye sonchke ye ghabraai hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Shaam ka kya bazaar saja tha shehr khada tha behre tamasha
Haay kisine ye bhi na soncha Ye to Ali ki Jaayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Saamne hakim ke Main Khadithi Bhai ke Mere Labpa chhadi thi
Haay wo kaisi sakht ghadi thi Sonchke ye Tharraayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Ek qayamat harsu bapa thi mehwe tamasha khalqe Khuda thi
Aur tamasha Aale Aba thi haay bahot Sharmaayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Shimr ke durre baali Sakina pyaas ki shiddat jalta seena
Aa na saki wapas Wo Madina Tanha Use Chhor Aayi hai Zainab
Dekh Madine kya kya yaadein saath me Apne laayi hai Zainab
Ashke Aza ke Moti lutado Farshe Aza aankhon ko banado
Sajde me Sajid sar ko jhukado Bazme Aza me Aayi hai Zainab