bhare darbar mein zainab khadi hai
haye haye zainab…………… haye darbar
haye haye zainab…………… haye darbar
1.falak ne be rida jisko na dekha
bhare majme mein laaye usko aadaan
rasanbasta ali ki laadli hai
2. bohot laachar hai zehra ki dukhtar
jhukaye sar khadi hai bint-e- hyder
haya se sar se pa tak kaanpti hai
3. aseeri be ridaye aur khule sar
yeh tha zehra ki beti ka muqddar
ilahi kaisi mushkil ki ghadi hai
4.haram zalim ke parde mein nehaan hain
jhukaaye sar ali ki betiyan hai
har ek ke lab pa bas nad-e-ali hai
5.ab iss se badhke kya honge mazalim
hai mehwe guftagoo zainab se zaalim
qayamat kyun na phir barpa huwi hai
6.koi abbas se jaake yeh kehde
ta’aarruf horaha hai aake roke
sada bhai ko zainab de rahi hai
7.diya hai jis ghadi zainab ne qutba
samjh mein kuch nahi zaalim ke aaya
chadi hoton pe sarwar ke rakhi hai
8.jo guzri fatima ki betiyun par
raqam kistarha ho pur dard manzar
qalam mein moosvi ke thatthari hai