milta nahi tha koi sahara yazeed ko
zainab ne is tarha se ujaada yazeed ko
khatoon jang kar nahi sakti thi is liye
khutbon ki zulfiqar se maara yazeed ko
as salaam ya zainab e kubra as salaam
bikherti hui raahon mein roshni zainab
mizaaj e hazrate shabbir le chali zainab
bikherti hui raahon mein...
jahan mein maqsade shabbir aam karti rahi
jo kaam bhai ne saumpa tha kaam karti rahi
kabhi hussain ki surat kabhi ali ki tarha
yazeed e waqt ki neendein haram karti rahi
teri zuban hai ya tayghe hyderi zainab
bikherti hui raahon mein...
yazeediyat ke liye kaam khoob ho jaata
jo aaftab e shariyat ghuroob ho jaata
zamana jehle murakkab ki neend so jaata
khuda ke deen mein shaamil uyub ho jaata
pase hussain na karti jo rehbari zainab
bikherti hui raahon mein...
tera wujood sadaqat ka pasban raha
tera wujood imamat ka pasban raha
quran e paak ki tatheer ki shahadat hai
tera wujood taharat ka pasban raha
hai tu hi makhzane ismat ki chaaoni zainab
bikherti hui raahon mein...
ali ki laadli hamsheer e shabbar o shabbir
janabe fatema zehra ki hoo bahoo tasveer
masahebeen e sitamgar ki larzaban hamdaam
dayare shaam mein karke kuch is tarha taqreer
misaale hydare karraar chaa gayi zainab
bikherti hui raahon mein...
sitamgaron ne to chaaha magar na hone diya
khuda ke deen mein biddat ka ghar na hone diya
gawara kar liya khud daagh beridayi ka
barehna deene payambar ka sar na hone diya
hai tere khoon mein shaamil tawangari zainab
bikherti hui raahon mein...
siraate haq o sadaaqat se hat gayi hoti
isaare kufr mein dunya simat gayi hoti
tamam nabiyon ki mehnat bhi zere takhte yazeed
qurane paak ke hamraah pat gayi hoti
agar mizaaj e zamana na modti zainab
bikherti hui raahon mein...
khuda tera hai imaam o rasool tere hai
jo panjetan ke hai zainab usool tere hai
mehek raha hai gulistane kibriya jis se
sabhi kali hai tere saare phool tere hai
hai tujhse deene mohamed ki dilkashi zainab
bikherti hui raahon mein...
kahan bayan ka mohtaaj zikr hai tera
har ek zikr ka sartaaj zikr hai tera
tere amal tere kirdaar ki badaulat hai
zuban zuban pe agar aaj zikr hai tera
hai tere zikr ki mohtaaj har sadi zainab
bikherti hui raahon mein...
misaale hazrate meesam dahan ataa kar do
hamay janabe farazdaq sa fan ataa kar do
dua ye monis o kausar ki shadman ki hai
ay bibi hum ko bhi auje sukhan ataa kardo
tumhari bazm mein karte hai naukri zainab
bikherti hui raahon mein...