Bikhra Huwa Dilbar Shabbar Ka
Bikhra hua dilbar Shabbar ka Chadar mein simat kar aaya hai
qayme mein hai ek mehshar barpa Qasim ka lasha aya hai...
1. Massnad pa abhi tha ek dulha kubra k sar par ghoonghat tha
Kis waastey shadi k ghar me sab rote hain matam hota hai...
2. Dulha pyaasa dulhan pyaasi pyaase hain saare Baraati
Ye kaise faza hai ranjeeda qaimo ka ye manzar kaisa hai...
3. Ye bain sakina karti thi mein mehndi Lagane baithi thi
Hai haat kahan aur sar hai kahan Bhaai ka ye aalam kaisa hai..
4. Maqtal ko gaya Qasim pyasa aur us ka badan pamaal hua
Ek bewaa ki poshak mein ab kubra ko bithaaya jata hai..
5. Lagte hai badan par zaqm agar marham bhi lagate hai un par
Bikhre hue zaqmo ko aaqir kis tarha sameta jaata hai...
6. Kis darja hasee'n tha ibne Hasan ek chand zameen par tha roushan
Wo chand lahu mein bikhra hai shabbir ke lab par nouha hai
7. Jo Karb hai bibi Kubra ka kis se wo kahein bekas dukhiya..
Hum-sin ho koi to bas us ko haal apna sunaaya jata hai...
8. Nauha jo raqam karta hu Rasheed is dil mein kasak hoti hai shadeed
Pamaal badan wo Qasim ka aankho ko bohot tadpata hai...