bhoola hai na bhoolega ta hashr zamana
darbar e yazeedi mein tera khutba sunana
tere parde pe qurban tere bhai ke sadqe
aata hai jise deen pe ghar baar lutana
bhoola hai na...
shabbir ne ye dars zamane ko diya hai
aage kisi zaalim ke kabhi sar na jhukana
bhoola hai na...
hurmul ye tera jurm kabhi chup nahi sakta
pani ke ewaz teer se asghar ko sulaana
bhoola hai na...
shabbir ki azmat hai ye shbbir ke jurrat
maqtal mein wo akbar ke laashe ko uthana
bhoola hai na...
mushtaq kiye jaa tu isi dar ki ghulami
bakshish ka nahi aisa koi aur thikana
bhoola hai na...