Kanz e Aza

Bhaiya Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by N. Sarwar, J. Jaffri & A. Shanawar (2025). Lyrics in Roman Urdu.

abbas abbas abbas mere bhaiya

bazaar mein zainab hai bhaiya bhaiya abbas


mere bhai bata doo kisko sada ab tere siwa abbas

bhaiya bhaiya abbas


na sar pe tera saaya na sar pe rida ghazi

majma hai tamashayi aati hai haya ghazi

aa ghazi aa mere bhai aa deti hoon sada abbas

bhaiya bhaiya abbas bhaiya bhaiya abbas

bazaar mein zainab hai...

abbas abbas abbas...


ghazi mere baba ki jis shehr mein thi shaahi

us shehr mein qaidi hai us shehr ki shehzadi

tere baad mera kya haal hua aa dekh zara abbas

bhaiya bhaiya abbas bhaiya bhaiya abbas

mere bhai bata doo kisko...

abbas abbas abbas...


mai tere sahare par pardes chali aayi

kuch bhi na raha mera jab tu na raha bhai

bin tere safar aur be-chadar dil toot gaya abbas

bhaiya bhaiya abbas bhaiya bhaiya abbas

bazaar mein zainab hai...

abbas abbas abbas...


sajjad na bhoolega yun shaam shehr aana

bazar nibha aayi darbar hai ab jaana

waada ho wafa bhai se mera karna ye dua abbas

bhaiya bhaiya abbas bhaiya bhaiya abbas

mere bhai bata doo kisko...

abbas abbas abbas...


kehna mere bhaiya se sharminda ye behna hai

saumpa tha jise mujhko zakhmi wo sakina hai

masooma ko mazlooma ko zindan mila abbas

bhaiya bhaiya abbas bhaiya bhaiya abbas

bazaar mein zainab hai...

abbas abbas abbas...