berida hai ye safar dushwaar zainab kya kare
ghash me hai ab abide beemaar zainab kya kare
bekafan laashe baraadar hai to qaahar berida
aye quda karbal me kyu kar na aayi mujhko qaza
besahaara bhai ki ghamqaar zaibab kya kare
jaa rahi hai chord ke laasho ko be goro kafan
gar na lut'ti aaj chaadar to bana deti kafan
ranj-o gham ki maalik-o muqtaar zainab kya kare
pushte naaqa par chali hai baith kar syedaniya'n
chaa gayi laila ke bhi aangan me ab veeraniya'n
bekaso ki qafela saalaar zainab kya kare
shaam ke dar pa ruka hai bekaso ka qafela
ek rasan me saat gardan aurto ka sar bandha
saj raha hai shaam ka darbaar zainab kya kare
saat sou kursi nashee'n aur berida aale rasul
kis tarah darbar aayi saani-e zahra batool
apni majboorii ka ab iz'haar zainab kya kare