Kanz e Aza

Berida Hoke

A noha for Darbaar e Shaam, written by Sadiq. Lyrics in Roman Urdu.

berida hoke payambar ke gharane waale

aaj darbar may zaalim ke hai aane waale


sar barehna sar e darbar chali hai zainab

sar khule aaj rahe sog manane waale

berida hoke payambar ke…


bediya thaame hue aage hai sajjade hazeen

peeche peeche hai payambar ke gharane waale

berida hoke payambar ke....


qatl waaris hue bazaar may tasheer hue

ab bhi thakte nahi bewon ko satane waale

berida hoke payambar ke....


khud chale aayegi tham tham ke na kar itni jafa

sayliyan bali sakina ko lagane waale

berida hoke payambar ke....


sar khule saamne zaalim ke sakina jao

mar gaye aap ke sab naaz uthane waale

berida hoke payambar ke....


daamane aale aba choot na jaye sadiq

ye hai mahtaaj ko sartaaj banane waale

berida hoke payambar ke....